Watch the official music video of Asim Azhar’s latest single featuring Talha Anjum & Talhah Yunus!
#YAAD – #AsimAzhar | #YoungStunners | #TalhaAnjum | #TalhahYunus
Lyrics:
Asim:
Tu ye jaane tere aage majboor hain
Kis baat ka gharoor
Faida uthai ye
Kaisa ye suroor
Deta saadayen kyun na tujhko sunai de
Tera dewana puri dunya gawai de
Mai laparwa sar phira par bewafa nae
Kab tak ye ashiq akhir apni safai de
Tu haan kar kabhi
Mai badlu abhi
Hai meri museebat ye tera zameer
Chehra asal tu apna dikhaye jaye
Kyun phir mujhko satayi jaye
Teri bas yaad yaad yaad
Aye mujhe baar baar baar
Sone na de
Jeena na de
Aur kisi ka hone na de
Talha Anjum:
Mein bola i’m going home but,
Asal mein I’m going crazy,
Double black for the pain,
Rollie rollie got me faded,
You played me, haan theek hai,
I’ll be over you by the weekend,
Been in the game for 10,
Kalla mere dil ke kitni qareeb hai,
Guzaari hai gurbat mein raatein,
Kitaabo mein milni nai baatein,
Anay walay atay ho ge,
Mujhay unki fikar hai jo nahi atay,
Tere bin eid nai eid, chehra nai qaabil e deed,
Chehray pe fikar hai wazeh, tu chehray ko parhna tou seekh,
Tu mujhko raastay de, mein tujhko badlay mein faaslay du,
Tu mujhko aasre de, mein dil ki tijori se raaz aik du,
Chahay phir saans lein, tere deedar aur maut qubool,
Karu qurban tujhpe ye zindagi tou hogi har saans wusool,
Mein badlu tou banu phir kya, Kya!
Ke Tu mera ho ke bhi na
Got everything that i need, give you anything that you want,
Yeah i smoke trees, write songs,
Teri soch, all night long,
I could right all my wrongs,
But you’re gone and..
Talhah Yunus:
Raat ye sonay k liye magar hum soye nahi,
Karwat badalte rehte sochon mai hum khoye rahay,
Yaadon k bastay liye. ankhon ko bhigoyen nai,
Khud pe ye fakhar, woh mere jaane pe roye nai,
Yaar deewar bane, Rishton mai daraar dalay,
Guzre kia saal baray, Ghum on’ k pahaar banay,
Sab ki zabaan banen, Dil ye mazaar bane,
Aa na darbaar mere, likhte raat k chaar baje,
Lafzon k taajir, hum hijrat o hijr k aadi, barsa den ye baadal,
Zamane se pucho hum kitne bahadur, wo aj bhi samjhen humein pagal,
Khud dhunden jawaab, Kiu puchu sawaal, meri kia majaal?
Vehmo gumaan, Kia du mai misaal? Tu hai bemisaaal,
Har basti ujaagar,
Hum shab k musaafir, safar bhi mutaasir,
Mai Urdu ka Rakim, nazar bari qaatil,
Hustle meri wazeh, gawah mera Asim,
Mai dunya se ajiz, likh raha teri khaatir,
Raaten ye dhalti nahi,
Waqt ki tarah kyun badalti rahi,
Maanengay woh apni ghalti nahi,
Mai aaj bhi wuhi, koi jaldi nahi…
Song Credits:
♫Music Composer: Asim Azhar
♫Rap Part Composed by: Young Stunners
♫Music Produced by: Nafeel Ali
♫Co-Producer: Mo Khan
♫Lyrics: Asim Azhar, Talha Anjum, Talhah Yunus & Raamis Ali
♫Guitars by: Dilawar Hussain
♫Mixed by: Mo Khan
♫Mastered by: Andy Walter from Abbey Road
♫Rap Vocals Mixed by: Jokhay
♫Recorded at: Kazman Productions
Video Credits:
Concept & Creative Director: Jazib Qamar
Executive Producer: Asim Azhar
Director: Asim Hussain
DOP: Usman Malkani
Producer: Adil Mailk
Stills Photography: Shahbaz Shazi
Styling and Costumes: Jazib Qamar
Styling Team: Karishma & Tasbiha
Grooming, Make Up & Hair (Asim & YS): Nadeem William
Make Up: NABILA’S
Art Director: Shahzad Riaz
Asst. Art: Naeem Amin
Talent Management: Furqan Belal
Line Producer: Syed Jahanzaib Ali
2nd Line Producer: Taha Adil Malik
Production: Kashif Rafique Gazdar
Edit & Post: Adnan
Grade/Colorist: Tahir Moosa (Sharp Image)
Album Artwork: MZHE
Powered by: Jazib Qamar for Asim Azhar